sweekar kar liya hai

sweekar kar liya hai pardhi ka ganit kendra ka vyakaran aur kuchh trikono ki aakanksha ab mujhey aur mat uljhao chaabi do taley se bahar le aao lekin tumharey paas chaabi hi to hai tala khol mujhey bahar laaney ka adhikar to keval uskey paas hai jiski yadon mein main kaid hun